Kholo kholo darwaze
Kholo kholo darwaze
Parde karo kinare
Khutey se bandhi hai hawa
Mil ke chudao saare
Aajao patang leke
Apney hi rang leke
Aasmaan ka shamiyana
Aaj hamein hai sajana
Kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu
Duniya sajee tere liye
Khud ko zara pehchaan tu
Tu dhoop hain jham se bikhar
Tu hai nadee o bekhabar
Beh chal kahin ud chal kahin
Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin
Kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu
Baasi zindagi udaasi
Taazi hasney ko raazi
Garma garma saari
Abhi abhi hai utaari
Oh zindagi to hain batasha
Meethi meethi si hai aasha
Chakh le rakh le
Hatheli se dhak le ise
Tujh mein agar pyaas hai
Baarish ka ghar bhi pass hai
Roke tujhe koi kyon bhala
Sang sang tere aakash hai
Tu dhoop hain jham se bikhar
Tu hai nadee o bekhabar
Beh chal kahin ud chal kahin
Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin
Khul gaya aasmaan ka rasta dekho khul gaya
Mil gaya kho gaya tha jo sitara mil gaya
Roshan hui saari zameen
Jagmag hua saara jahaan
Oh udne ko tu aazad hai
bandhan koi ab hai kahan
Tu dhoop hain jham se bikhar
Tu hai nadee o bekhabar
Beh chal kahin ud chal kahin
Dil khush jahan teri toh manzil hai wahin
Oh kyun is kadar hairaan tu
Mausam ka hai mehmaan tu
-by Prasoon Joshi for movie "Taare Zameen Par"
0 Comments:
Post a Comment
<< Home